Charagh-ha-e-takalluf Bujha Diye Gae Hain

charagh-ha-e-takalluf bujha diye gae hain

uThao jam ki parde uTha diye gae hain

ab is ko did kahen ya ise kahen didar

hamare aage se jo hum haTa diye gae hain

ab is maqam pe hai ye junun ki hosh nahin

miTa diye gae hain ya bana diye gae hain

ye raaz marne se pahle to khul nahin sakta

sula diye gae hain ya jaga diye gae hain

jo mil gae to tawangar na mil sake to gada

hum apni zat ke andar chhupa diye gae hain

charagh-e-bazm hain hum raaz-dar-e-sohbat-e-bazm

bujha diye gae hain ya jala diye gae hain

(352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-ha-e-takalluf Bujha Diye Gae Hain In English By Famous Poet Meer Ahmad Naved. Charagh-ha-e-takalluf Bujha Diye Gae Hain is written by Meer Ahmad Naved. Read famous Poem Charagh-ha-e-takalluf Bujha Diye Gae Hain for youth and Student by Meer Ahmad Naved. Free Download Charagh-ha-e-takalluf Bujha Diye Gae Hain in PDF.