Mera Raaz-e-dil Aashkara Nahin

mera raaz-e-dil aashkara nahin

wo dariya hun jis ka kinara nahin

wo gul hun juda sab se hai jis ka rang

wo bu hun ki jo aashkara nahin

wo pani hun shirin nahin jis mein shor

wo aatish hun jis mein sharara nahin

bahut zal-e-duniya ne din baziyan

main wo naujawan hun jo haara nahin

jahannam se hum be-qararon ko kya

jo aatish pe Thahre wo para nahin

faqiron ki majlis hai sab se juda

amiron ka yan tak guzara nahin

sikandar ki KHatir bhi hai sadd-e-bab

jo dara bhi ho to madara nahin

kisi ne teri tarah se ai 'anis'

urus-e-suKHan ko sanwara nahin

(614) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Raaz-e-dil Aashkara Nahin In English By Famous Poet Meer Anees. Mera Raaz-e-dil Aashkara Nahin is written by Meer Anees. Read famous Poem Mera Raaz-e-dil Aashkara Nahin for youth and Student by Meer Anees. Free Download Mera Raaz-e-dil Aashkara Nahin in PDF.