Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte

koi 'anis' koi aashna nahin rakhte

kisi ki aas baghair az KHuda nahin rakhte

kisi ko kya ho dilon ki shikastagi ki KHabar

ki TuTne mein ye shishe sada nahin rakhte

faqir dost jo ho hum ko sarfaraaz kare

kuchh aur farsh ba-juz boriya nahin rakhte

musafiro shab-e-awwal bahut hai tera o tar

charagh-e-qabr abhi se jala nahin rakhte

wo log kaun se hain ai KHuda-e-kaun-o-makan

suKHan se kan ko jo aashna nahin rakhte

musafiran-e-adam ka pata mile kyunkar

wo yun gae ki kahin naqsh-e-pa nahin rakhte

tap-e-darun gham-e-furqat waram-e-payaada-rawi

maraz to itne hain aur kuchh dawa nahin rakhte

khulega haal unhen jab ki aankh band hui

jo log ulfat-e-mushkil-kusha nahin rakhte

jahan ki lazzat o KHwahish se hai bashar ka KHamir

wo kaun hain ki jo hirs-o-hawa nahin rakhte

'anis' bech ke jaan apni hind se niklo

jo tosha-e-safar-e-karbala nahin rakhte

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte In English By Famous Poet Meer Anees. Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte is written by Meer Anees. Read famous Poem Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte for youth and Student by Meer Anees. Free Download Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte in PDF.