KHud Nawed-e-zindagi Lai Qaza Mere Liye

KHud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye

sham-e-kushta hun fana mein hai baqa mere liye

zindagi mein to na ek dam KHush kiya hans bol kar

aaj kyun rote hain mere aashna mere liye

kunj-e-uzlat mein misal-e-asiya hun gosha-gir

rizq pahunchata hai ghar baiThe KHuda mere liye

tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah

bagh-e-jannat teri KHatir karbala mere liye

nam raushan kar ke kyunkar bujh na jata misl-e-shama

na-muwafiq thi zamane ki hawa mere liye

har nafas aaina-e-dil se ye aati hai sada

KHak tu ho ja to hasil ho jila mere liye

KHak se hai KHak ko ulfat taDapta hun 'anis'

karbala ke waste main karbala mere liye

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Nawed-e-zindagi Lai Qaza Mere Liye In English By Famous Poet Meer Anees. KHud Nawed-e-zindagi Lai Qaza Mere Liye is written by Meer Anees. Read famous Poem KHud Nawed-e-zindagi Lai Qaza Mere Liye for youth and Student by Meer Anees. Free Download KHud Nawed-e-zindagi Lai Qaza Mere Liye in PDF.