Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah

shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah

jahan mein aib bhi hum ne kiye hunar ki tarah

kuchh aaj sham se chehra hai faq sahar ki tarah

Dhala hi jata hun furqat mein dopahar ki tarah

siyah-baKHton ko yun bagh se nikal ai charKH

ki chaar phul to daman mein hon sipar ki tarah

tamam KHalq hai KHwahan-e-abru ai rab

chhupa mujhe sadaf-e-qabr mein guhar ki tarah

tujhi ko dekhunga jab tak hain barqarar aankhen

meri nazar na phiregi teri nazar ki tarah

hamari qabr pe kya ehtiyaj-e-ambar-o-ud

sulag raha hai har ek ustuKHan agar ki tarah

nahif-o-zar hain kya zor baghban se chale

jahan biTha diya bas rah gae shajar ki tarah

tumhaare halqa-ba-goshon mein ek hum bhi hain

paDa rahe ye suKHan kan mein guhar ki tarah

'anis' yun hua haal-e-jawani-o-piri

baDhe the naKHl ki surat gire samar ki tarah

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah In English By Famous Poet Meer Anees. Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah is written by Meer Anees. Read famous Poem Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah for youth and Student by Meer Anees. Free Download Shahid-e-ishq Hue Qais Namwar Ki Tarah in PDF.