Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum

aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum

shama san apne tain aap hi ro baiThe hum

ishq ke hath se kashti-e-shikasta ki tarah

aap apne tain ro ro ke Dubo baiThe hum

gar yahi tere ishaare hain to majlis se teri

kui na kui aa ke uTha dewega go baiThe hum

tum jo uThne ko hue the to chale the hum bhi

ab jo yun aap ki marzi hai to lo baiThe hum

sina KHali nahin hota hai na thamte hain ashk

kab se rote hain dil-e-KHun-shuda ko baiThe hum

ghair kahte hain ki hum baiThne dewenge na yan

ab to is zid se jo kuchh howe so ho baiThe hum

ashk aaankhon se to madum hue the kad ke

hath ab girya-e-KHuni se bhi dho baiThe hum

aur to kuchh nahin yan itna KHafa hote ho kyun

kya hua aap ke nazdik jo ho baiThe hum

aarzu dil ki bar aai na 'hasan' wasl mein aur

lazzat-e-hijr ko bhi muft mein kho baiThe hum

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum In English By Famous Poet Meer Hasan. Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum is written by Meer Hasan. Read famous Poem Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum in PDF.