Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke

aankhon mein hain haqir jis-tis ke

nazron se gir gae hain hum kis ke

dil ka hamdam ilaj mat kar ab

zaKHm marham-pazir hain is ke

kaun aata hai aisa hosh-ruba

sabr o taqat yahan se kyun khiske

dekhti hai ye kis ki aankhon ko

kyun khule hain ye chashm nargis ke

bas kahin thak bhi aasiya-e-falak

ho chuke surma hum to ab pis ke

ji se rahte hain apne us pe nisar

dil se hote hain dost hum jis ke

go nahin ab kabhi to ai pyare

hum bhi the yar teri majlis ke

tu to KHush hai ki tere kuche mein

ek taDpa kare aur ek siske

mar gae par bhi ye 'hasan' na munde

muntazir chashm the tere kis ke

(311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke In English By Famous Poet Meer Hasan. Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke is written by Meer Hasan. Read famous Poem Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke in PDF.