Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya

dur se bagh-e-jahan dikhla ke diwana kiya

muttasil jaane na paya main ki virana kiya

dekhte hi mai ko saghar ka na khencha intizar

mare jaldi ke main apna hath paimana kiya

Turfa-tar ye hai ki apna bhi na jaana aur yunhi

apna apna kah ke mujh ko sab se begana kiya

kuchh bahak kar baat gar bolun to hun mazur main

mujh ko hasti ne teri aankhon ki mastana kiya

bewafai ne ye kis ki tujh ko samjhaya 'hasan'

in dinon kyun tu ne kam us taraf jaana kiya

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya In English By Famous Poet Meer Hasan. Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya is written by Meer Hasan. Read famous Poem Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya in PDF.