Dildar Dil Is Tarah Baham Aae Nazar Mein

dildar dil is tarah baham aae nazar mein

jis tarah guhar aab mein aur aab guhar mein

ek bar bhi dekha na use pas se ja kar

aaya hi nazar wo to kahin rahguzar mein

har-chand ki hai sham-o-sahar wo hi par us bin

wo lutf na ab sham mein hai aur na sahar mein

qismat se madad chahta hun itni ki har waqt

manind-e-saba sath rahun us ke safar mein

ek bar to nale ki ho ruKHsat hamein sayyaad

pinhan rakhen hum kab tain fariyaad jigar mein

hosh-o-KHirad-o-sabr-o-tawan uTh chale ek ek

jate hi tere chaal paDi dil ke nagar mein

kidhar ko nikal jawen 'hasan' kya karen hum aah

bahar hi ye dil apna na lagta hai na ghar mein

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dildar Dil Is Tarah Baham Aae Nazar Mein In English By Famous Poet Meer Hasan. Dildar Dil Is Tarah Baham Aae Nazar Mein is written by Meer Hasan. Read famous Poem Dildar Dil Is Tarah Baham Aae Nazar Mein for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Dildar Dil Is Tarah Baham Aae Nazar Mein in PDF.