Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon

gul hai zaKHmi bahaar ke hathon

dil hai sad-chaak yar ke hathon

dam-ba-dam qata hoti jati hai

umr lail-o-nahaar ke hathon

jaan-ba-lab ho raha hun misl-e-habab

main tere intizar ke hathon

ek dam bhi mila na hum ko qarar

is dil-e-be-qarar ke hathon

apni sar-gashtagi kabhi na gai

gardish-e-rozgar ke hathon

ek shagufa uThe hai roz naya

is dil-e-dagh-dar ke hathon

dil pe kya kya hue hain naqsh-o-nigar

nawak-e-dil-figar ke hathon

ho raha hai KHarab KHana-e-dil

dida-e-ashk-bar ke hathon

gar kabhi lag gaya tera daman

meri musht-e-ghubar ke hathon

chhuTna hai phir us ka amr-e-muhaal

is tere KHaksar ke hathon

ek dil KHar KHar hun main 'hasan'

apne us gul-ezar ke hathon

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon In English By Famous Poet Meer Hasan. Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon is written by Meer Hasan. Read famous Poem Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon in PDF.