Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur

hai dhyan jo apna kahin ai mah-jabin aur

jaana hai kahin aur to jata hun kahin aur

jab tu hi kare dushmani hum se to ghazab hai

tere to siwa apna koi dost nahin aur

main hashr ko kya roun ki uTh jate hi tere

barpa hui ek mujh pe qayamat to yahin aur

wada to tere aane ka hai sach hi wa-lekin

bazu ke phaDakne se hua dil ko yaqin aur

aaKHir tu kahan kucha tera aur kahan hum

kar lewen yahan baiTh ke ek aah-e-hazin aur

tha ru-e-zamin tang zi-bas hum ne nikali

rahne ke liye sher ke aalam mein zamin aur

nam apna likhawe to likha dil pe tu mere

is nam ko behtar nahin is se to nagin aur

abru ki to thi chin mere dil pe ghazab par

mizhgan se numudar hue KHanjar-e-kin aur

nikle to usi kucha se ye gum-shuda nikle

DhunDhe hai 'hasan' dil ko to phir DhunD wahin aur

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur In English By Famous Poet Meer Hasan. Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur is written by Meer Hasan. Read famous Poem Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur in PDF.