Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain

hum na hanste hain aur na rote hain

umr hairat mein apni khote hain

kha ke gham KHwan-e-ishq ke mehman

hath KHun-e-jigar se dhote hain

wasl hota hai jin ko duniya mein

yarab aise bhi log hote hain

kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam

aah tis par bhi yar sote hain

dil laga us se mardum-e-dida

sath apne hamein Dubote hain

aah-o-nala se wo KHafa hai abas

kanTe hum apne haq mein bute hain

yaad aati hain us ki jab baaten

dil 'hasan' donon mil ke rote hain

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain In English By Famous Poet Meer Hasan. Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain is written by Meer Hasan. Read famous Poem Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain in PDF.