Is Dar Se Maine Zulf Ki Uski Na Baat Ki

is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki

jati hai dur dur tak aawaz raat ki

dekha jab aankh khol ke misl-e-habab tab

malum kaenat hui kaenat ki

us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-KHair

sae mein jis ne aan ke gul ke wafat ki

main hun sifat hi ke tahayyur mein ham-nashin

kya baat mujh se puchhe hai tu us ki zat ki

dil apna us ko dijiye ya ji ko khoiye

is ke siwa tarah nahin koi najat ki

bola agar to qand-e-mukarrar hue wo lab

aur chup raha to ye bhi hai surat nabaat ki

waqif ho kyun na shola-e-atish se dil ke wo

rahti hai baghban ko KHabar phul pat ki

shah chaal ho raha hun sanam tere ishq mein

tu ne dikha ke ruKH meri bazi hi mat ki

zulf-e-araq-fishan teri jaan-baKHsh kyun na ho

tarkib us ne pai hai aab-e-hayat ki

us sar se ghair sar nahin waqif koi gharaz

lazzat bayan mein aati nahin teri lat ki

chun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan'

chashm-o-lab us ki zid hai hayat o mamat ki

(366) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Is Dar Se Maine Zulf Ki Uski Na Baat Ki In English By Famous Poet Meer Hasan. Is Dar Se Maine Zulf Ki Uski Na Baat Ki is written by Meer Hasan. Read famous Poem Is Dar Se Maine Zulf Ki Uski Na Baat Ki for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Is Dar Se Maine Zulf Ki Uski Na Baat Ki in PDF.