Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe

hum se to kisi kaam ki buniyaad na howe

jab tak ki udhar hi se kuchh imdad na howe

hum ko bhi nahin chain tere ghamzon se dilbar

jab tak ki naya ek sitam ijad na howe

ai aah zara uThiyo to aahista ki wo jo

thoDa sa asar hai kahin barbaad na howe

di thi ye dua kis ne mere dil ko ilahi

ujDe ye ghar aisa ki phir aabaad na howe

dekha na kisi waqt main hanste hue us ko

ye bhi koi dil hai jo kabhi shad na howe

bhule se bhi bhulo na kabhi ghairon ka tum nam

aur nam hamara hi tumhein yaad na howe

kyun dekho ho us ka qad-o-ru bulbul-o-qumri

kya samjhe ho tum ye gul-o-shamshad na howe

mar jaen qafas mein yun hi hum aah taDap kar

itni jo KHabar lene ko sayyaad na howe

dil jal ke jahan surma hua qais ka ab tak

us ja pe jaras pahunche to fariyaad na howe

mere liye qatil bhi agar howe to howe

par ghair ke haq mein to wo jallad na howe

warasta jo ho qaid se hasti ke to behtar

par dam se tere 'hasan' aazad na howe

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe In English By Famous Poet Meer Hasan. Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe is written by Meer Hasan. Read famous Poem Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe in PDF.