Jigar-e-soKHta Hain Aur Dil-e-biryan Hain Hum

jigar-e-soKHta hain aur dil-e-biryan hain hum

shoale ki tarah sada dida-e-giryan hain hum

muttasil laKHt-e-jigar karte hain aankhon se sada

aah kis aashiq-e-gham-dida ki mizhgan hain hum

kabhi hanste hain kabhi rote hain jalte hain kabhi

gul hain shabnam hain ki ya aatish-e-sozan hain hum

hum mein hi aalam-e-akbar hue go jurm-e-saghir

mazhar-e-jalwa-e-haq hazrat-e-insan hain hum

dahr pur-shor hai hathon se hamare ai aah

aafrinash mein magar nala-o-afghan hain hum

fikr-e-jamiyyat-e-dil hum ko kahan aah 'hasan'

KHatir-ashufta-e-gesu-e-pareshan hain hum

(408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar-e-soKHta Hain Aur Dil-e-biryan Hain Hum In English By Famous Poet Meer Hasan. Jigar-e-soKHta Hain Aur Dil-e-biryan Hain Hum is written by Meer Hasan. Read famous Poem Jigar-e-soKHta Hain Aur Dil-e-biryan Hain Hum for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Jigar-e-soKHta Hain Aur Dil-e-biryan Hain Hum in PDF.