Jis ShaKHs Ki Ho Zist Faqat Nam Se Tere

jis shaKHs ki ho zist faqat nam se tere

us shaKHs ka kya haal ho paigham se tere

gali hai ki hai sehr koi ya ki hai afsun

ji shad hua jata hai dushnam se tere

hai apni KHushi is mein ki to jis mein KHushi ho

aaram hai apne tain aaram se tere

aahista qadam rakhiyo tu ai naqa-e-laila

majnun ka bandha aata hai dil gam se tere

jab kuche mein ja baiThte hain tere to apni

aankhen lagi rahti hain dar-o-baam se tere

hai apne hamein kaam se kaam ai but-e-KHud-kaam

hum kaam nahin rakhte hain kuchh kaam se tere

kya hijr ki raat aai ki manind-e-charaghan

phir jalne lage dagh 'hasan' sham se tere

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis ShaKHs Ki Ho Zist Faqat Nam Se Tere In English By Famous Poet Meer Hasan. Jis ShaKHs Ki Ho Zist Faqat Nam Se Tere is written by Meer Hasan. Read famous Poem Jis ShaKHs Ki Ho Zist Faqat Nam Se Tere for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Jis ShaKHs Ki Ho Zist Faqat Nam Se Tere in PDF.