Kahta Na Tha Main Ai Dil Tu Us Se Ji Laga Na

kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na

us ka to kya gaya ab tera hi ji gaya na

sau bar main ne jhanka chilman se us ko lekin

itna kaha na us ne kya dekhta hai aa na

main KHub ro chuka hun zalim bas aur mujh ko

aazurdagi ki baaten kah kah ke tu rula na

jate hi yar ke tu kahta tha mar rahunga

waqt-e-widaa ai dil aaKHir tu mar gaya na

kal main ne hanste hanste puchha ki koi dam yan

farmaiye to main bhi baiTha rahun ki ya na

tewri chaDha ke bola chal chal KHabar le apni

ji lag raha hai tera jidhar tu apne ja na

kahta na tha ki har dam us ki gali mein mat ja

is baat ka ab aaKHir charcha 'hasan' hua na

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahta Na Tha Main Ai Dil Tu Us Se Ji Laga Na In English By Famous Poet Meer Hasan. Kahta Na Tha Main Ai Dil Tu Us Se Ji Laga Na is written by Meer Hasan. Read famous Poem Kahta Na Tha Main Ai Dil Tu Us Se Ji Laga Na for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Kahta Na Tha Main Ai Dil Tu Us Se Ji Laga Na in PDF.