Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae

kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae

ji mein tha kuchh kahiye lekin aah Dar kar rah gae

jab na kuchh bas chal saka apna to phir hasrat se hae

dekh kar munh ko tere ek aah bhar kar rah gae

sar bahut paTka qafas mein apna hum ne ham-safir

kui na pahuncha dad ko fariyaad kar kar rah gae

nama-bar ki ya kabutar ki ki dil ki rakhiye aas

apne to yan se gae jo wan wo mar kar rah gae

kal kisi ka zikr-e-KHair aaya tha majlis mein 'hasan'

is dil-e-betab par hum hath dhar kar rah gae

(367) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae In English By Famous Poet Meer Hasan. Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae is written by Meer Hasan. Read famous Poem Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae in PDF.