Nazar Karo Wahdat O Kasrat Baham Shamil Hain Shishe Mein

nazar karo wahdat o kasrat baham shamil hain shishe mein

agar shisha hai mahfil mein to ye mahfil hai shishe mein

dil-e-nazuk mein aashiq ke nahin hai saKHt-jaani ye

fusun-e-fikr se utri hui ek sil hai shishe mein

na ja tu jam par jamshed ke aa dekh mina ko

yahan kaifiyyat-e-har-do-jahan hasil hai shishe mein

likha hai apne dil mein nam tera main ne sanat se

wagarna harf ka likhna bahut mushkil hai shishe mein

nahin hai dagh ye dil mein ki jis se sina raushan hai

jo dekha KHub to aks-e-mah-e-kaamil hai shishe mein

pari-ru shisha-e-dil mein to hai par kyunki dekhun main

ki jab dekhun to apna aks hi hail hai shishe mein

'hasan' gar parsa hun main to na-chaari se hun warna

nazar hai jam par meri sada aur dil hai shishe mein

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Karo Wahdat O Kasrat Baham Shamil Hain Shishe Mein In English By Famous Poet Meer Hasan. Nazar Karo Wahdat O Kasrat Baham Shamil Hain Shishe Mein is written by Meer Hasan. Read famous Poem Nazar Karo Wahdat O Kasrat Baham Shamil Hain Shishe Mein for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Nazar Karo Wahdat O Kasrat Baham Shamil Hain Shishe Mein in PDF.