Ne Fiqh Na Mantiq Ne Hikmat Ka Risala Hai

ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai

is fann-e-mohabbat ka nusKHa hi nirala hai

KHatra hai mujhe ab to chup rahne se bhi apne

kya hai ki na sozish hai wo aah na nala hai

dil hi na khule apna to kijiye kya warna

sabza hai gulistan hai gulzar hai lala hai

kyunkar na samar lawe shaKH-e-mizha laKHt-e-dil

sau KHun-e-jigar se main is tir ko pala hai

hai dil mein to wo lekin dikhlai nahin deta

bahar to andhera hai aur ghar mein ujala hai

tajil na kar ai dil aane to laga hai wo

mil jaega bosa bhi kya munh ka niwala hai

kaifiyyat-e-mai-KHana bas dekh le ab kya hai

saqi hai na sahba hai shisha hai na pyala hai

ye chaal agar hai to rahne ka nahin ab dil

be-tarah se us ne to kuchh panw nikala hai

tu hota to kya hota kal nam tera lete

gulshan mein 'hasan' ko main girne se sambhaala hai

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ne Fiqh Na Mantiq Ne Hikmat Ka Risala Hai In English By Famous Poet Meer Hasan. Ne Fiqh Na Mantiq Ne Hikmat Ka Risala Hai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Ne Fiqh Na Mantiq Ne Hikmat Ka Risala Hai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Ne Fiqh Na Mantiq Ne Hikmat Ka Risala Hai in PDF.