Soz-e-dil Ka Zikr Apne Munh Pe Jab Late Hain Hum

soz-e-dil ka zikr apne munh pe jab late hain hum

shama san apni zaban se aap jal jate hain hum

dam-ba-dam us shoKH ke aazurda ho jaane se aah

jab nahin kuchh apna bas chalta to ghabraate hain hum

baiThne ko to nahin aae hain yan ai baghban

kyun KHafa hota hai itna hum se tu jate hain hum

dil se hum chhuT jaen ya dil hum se chhuT jawe kahin

is ke aljheDe se ab to saKHt uktate hain hum

dil KHuda jaane kidhar gum ho gaya ai dostan

DhunDhte phirte hain kab se aur nahin pate hain hum

donon diwane hain kya samjhenge aapas mein abas

hum ko samjhata hai dil aur dil ko samjhate hain hum

yaad mein us gul-badan ki aaj-kal tu ai 'hasan'

bagh mein phir phir ke apne dil ko bahlate hain hum

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soz-e-dil Ka Zikr Apne Munh Pe Jab Late Hain Hum In English By Famous Poet Meer Hasan. Soz-e-dil Ka Zikr Apne Munh Pe Jab Late Hain Hum is written by Meer Hasan. Read famous Poem Soz-e-dil Ka Zikr Apne Munh Pe Jab Late Hain Hum for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Soz-e-dil Ka Zikr Apne Munh Pe Jab Late Hain Hum in PDF.