Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum

shama san shab ke mehman hain hum

subh hote to phir kahan hain hum

tum bin ai raftgan-e-mulk-e-adam

hasti apni se sargiran hain hum

baghban Tuk to baiThne de kahin

aah gum-karda aashiyan hain hum

dekhte hain usi ko ahl-e-nazar

go nihan hai wo aur ayan hain hum

na kisi ki sunen na apni kahen

naqsh-e-diwar-e-bostan hain hum

jins-e-asudgi nahin hum pas

dard aur gham ke karwan hain hum

dil se nala nikal nahin sakta

yan talak gham se na-tawan hain hum

kya kahen hum 'hasan' ba-qaul 'ziya'

jis tarah se ki ab yahan hain hum

dagh hain karwan-e-rafta ke

naqsh-e-pa-e-guzishtagan hain hum

(340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum In English By Famous Poet Meer Hasan. Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum is written by Meer Hasan. Read famous Poem Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum in PDF.