Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae

shab ko tum hum se KHafa ho kar sahar ko uTh gae

shama san ro ro ke hum bhi dil jigar ko uTh gae

the abhi to pas hi apne qarar-o-hosh-o-sabr

tere aate hi na-jaane wo kidhar ko uTh gae

tu na nikla ghar se bahar subh se le sham tak

dekh dekh aaKHir tere diwar-o-dar ko uTh gae

kis se puchhun haal main bashindagan-e-dil ka hae

is nagar ke rahne wale kis nagar ko uTh gae

ai KHusha we jo ki warasta talluq se hue

jis jagah chaha rahe chaha jidhar ko uTh gae

dair-o-kaba hi ko jaana kuchh nahin lazim gharaz

jis taraf pai KHabar us ki udhar ko uTh gae

shahr mein rone ke hathon jab na rahne pae hum

koh-o-sahra ki taraf le chashm-e-tar ko uTh gae

puchhta hai haal kya aawargan-e-hind ka

kuchh idhar ko uTh gae aur kuchh udhar ko uTh gae

tu akela us jagah baiTha karega kya 'hasan'

tere sathi to kabhi ke apne ghar ko uTh gae

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae In English By Famous Poet Meer Hasan. Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae is written by Meer Hasan. Read famous Poem Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae in PDF.