Uski Jab Bazm Se Hum Ho Ke Ba-tang Aate Hain

us ki jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain

apne sath aap hi karte hue jang aate hain

husn mein jab tain garmi na ho ji dewe kaun

sham-e-taswir ke kab gird patang aate hain

dil ko kis bu-qalamon jalwe ne hai KHun kiya

ashk aaankhon se jo ye rang-ba-rang aate hain

aah tazim ko uThti hai mere sine se

dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain

shart gar puchho to hai is mein bhi qismat warna

aashiqi karne ke har ek ko Dhang aate hain

naKHl-e-wahshat bhi magar un ka samar rakhta hai

har taraf se jo ye diwaron pe sang aate hain

hairat-afza hai ajab kucha-e-dildar 'hasan'

jo wahan jate hain is tarf se dang aate hain

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Jab Bazm Se Hum Ho Ke Ba-tang Aate Hain In English By Famous Poet Meer Hasan. Uski Jab Bazm Se Hum Ho Ke Ba-tang Aate Hain is written by Meer Hasan. Read famous Poem Uski Jab Bazm Se Hum Ho Ke Ba-tang Aate Hain for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Uski Jab Bazm Se Hum Ho Ke Ba-tang Aate Hain in PDF.