Yar Ka Dhyan Hum Na ChhoDenge

yar ka dhyan hum na chhoDenge

apni ye aan hum na chhoDenge

jab talak dam mein hai hamare dam

tujh ko ai jaan hum na chhoDenge

tere hathon se ai junun sabit

ye gareban hum na chhoDenge

hai baDa kufr tark-e-ishq-e-butan

apna iman hum na chhoDenge

baad majnun ke shor se KHali

ye bayaban hum na chhoDenge

dil mein aur hum mein hai ye qaul-o-qarar

us ko har aan hum na chhoDenge

dil na chhoDega tera daman aur

dil ka daman hum na chhoDenge

bin liye bosa aaj to tujh ko

man mat man hum na chhoDenge

hai 'hasan' wan yahi jo be-qarani

kab talak shan hum na chhoDenge

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ka Dhyan Hum Na ChhoDenge In English By Famous Poet Meer Hasan. Yar Ka Dhyan Hum Na ChhoDenge is written by Meer Hasan. Read famous Poem Yar Ka Dhyan Hum Na ChhoDenge for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Yar Ka Dhyan Hum Na ChhoDenge in PDF.