Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage

yun ghair kuchh kahen to bala ko buri lage

tu kuchh na kah ki hum ghoraba ko buri lage

tangi kare na hausla apna kahin bas ab

itni jafa na kar ki wafa ko buri lage

tujh bin ye zist apni hamein yun hai jis tarah

qaid-e-hayat ahl-e-fana ko buri lage

hun KHak tere kuche ki hum aur apni gard

teri gali se aah saba ko buri lage

hum to sahenge wo bhi pa lazim nahin tujhe

is naz ki jafa jo ada ko buri lage

hai be-hayai had se jo garmi zyaada ho

shoKHi bahut to mard-o-nisa ko buri lage

chun aaina dil apna kudurat se saf rakh

gard-e-malal ahl-e-safa ko buri lage

har dam jawab saf murawwat se hai baid

wo baat tu na kar ki haya ko buri lage

us but ki bandagi se na aazad ho 'hasan'

ye baat bhi kahin na KHuda ko buri lage

(316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage In English By Famous Poet Meer Hasan. Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage is written by Meer Hasan. Read famous Poem Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage in PDF.