Gham Mein Ahd-e-shabab Jata Hai

gham mein ahd-e-shabab jata hai

aasman KHak mein milata hai

kaun gul bahr-e-sair aata hai

bagh phula nahin samata hai

arsh par bhi ghubar jata hai

dil jo wahshat mein KHak uData hai

jaan deta hai sabza-e-KHat par

KHizr har roz zahr khata hai

tegh-e-qatil jo ho gai be-ab

zaKHm pani magar churaata hai

zinde marte hain murde jite hain

jab wo rashk-e-masih gata hai

sahar-e-sham-e-wasl hai shab-gor

maut aati hai yar jata hai

achchhi paDti hai jab koi talwar

dahan-e-zaKHm muskuraata hai

KHun-e-ushshaq ka uTha biDa

be-sabab kab wo pan khata hai

jigar-e-sang ho jahan pani

wo wahan mujh ko aazmata hai

tu jo gul hai to main bhi shabnam hun

mujhe hansna tera rulata hai

KHush ye marne se hun mera lasha

gor mein bhi nahin samata hai

lala-e-koh se hua sabit

KHun-e-fariyaad josh khata hai

lakh taqlid kijiye ai 'arsh'

par kab andaz-e-'mir' aata hai

(515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Mein Ahd-e-shabab Jata Hai In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Gham Mein Ahd-e-shabab Jata Hai is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Gham Mein Ahd-e-shabab Jata Hai for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Gham Mein Ahd-e-shabab Jata Hai in PDF.