Har Gham Mein Karim Hai Hamara

har gham mein karim hai hamara

allah rahim hai hamara

kahta hai rahm kha ke mabud

ye abd yatim hai hamara

sehat hai maraz qaza shifa hai

allah hakim hai hamara

tu KHush ho ki hai dahan-e-KHandan

dil gham se do nim hai hamara

qismat mein jo hai wahi milega

maqsum qasim hai hamara

dil ghairat-e-gul hai dagh-e-gham se

dam rashk-e-shamim hai hamara

sabit hai ki dam mein kuchh ka kuchh hai

nadim jo nadim hai hamara

maKHluq na samjhe gunah-e-KHaliq

allah halim hai hamara

hadis tere but hain sab barahman

allah qadim hai hamara

aadil hai tu irs-e-had mein kya kya

ghar bagh-e-naim hai hamara

aankhen nahin par hai shauq-e-didar

dil ain-e-kalim hai hamara

kya pesh-e-nazar hain shabnam-o-gul

goya zar-o-sim hai hamara

har lahza hai 'arsh' umid-e-rahmat

allah rahim hai hamara

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gham Mein Karim Hai Hamara In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Har Gham Mein Karim Hai Hamara is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Har Gham Mein Karim Hai Hamara for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Har Gham Mein Karim Hai Hamara in PDF.