Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj

hum se karta hai abas guftar kaj

rast-bazon se na ho ai yar kaj

ishq-e-abru se teri ai kaj-kulah

bandhta hai mah-e-nau dastar kaj

hai tawazo bhi buzurgi ka nishan

kyun na ho piri mein jism-e-zar kaj

kaj-rawi is zulf ka hai KHassa

jis tarah hai mar ki raftar kaj

hat yun qatil-jabinon ka laga

jis tarah pahne sanam zunnar kaj

rasti ek baat mein us ki nahin

kaj rawa kaj-maj zaban guftar kaj

qasr-e-tan piri mein jhuk kar kya ruke

gir paDe kohna jo ho diwar kaj

ja-e-nazzara hai phirte hain hasin

Topiyan rakh kar sar-e-bazar kaj

kaj-numa aaina-e-alam hai 'arsh'

be-sabab TeDhe abas hain yar kaj

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj in PDF.