Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga

kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

warna hoga tu na andesha-e-darban hoga

qatl ke baad bhi ek aish ka saman hoga

mai-e-gul-rang lahu zaKHm namak-dan hoga

bankpan bas ki hai manzur mere qatil ko

gul-e-dastar bhi ab ghuncha-e-paikan hoga

ek nazar dekh sakega na teri chashm-e-siyah

sabza-e-KHat bhi charagah-e-ghazalan hoga

tu wahan bhi jo na ho yar to phir hai andher

roz-e-mahshar pe guman-e-shab-e-hijran hoga

dilbaro dil ke na le jaane mein israr karo

tum ko kya faeda hoga mera nuqsan hoga

jate hain sabr o qarar o KHirad o hosh o hawas

jaras-e-qafila apna dil-e-nalan hoga

mere isa se mere dard ka darman hoga

sharbat-e-wasl ilaj-e-tap-e-hijran hoga

waiz hum ko tu na hangama-e-mahshar se Dara

apne nazdik wo ek majma-e-yaran hoga

aaina dida-e-hairan tujhe dikhlaega

shana-e-zulf mera haal-e-pareshan hoga

dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hoga KHarab

barhaman dair mein kabe mein musalman hoga

gar ye hain dast-e-junun aur wo hain KHar-e-junun

na to daman hi rahega na gareban hoga

shaKH-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul

'arsh' diwan mera rashk-e-gulistan hoga

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga in PDF.