KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad

KHun bahane ka bahana hai bhala mere baad

tin din pan bhi khana na zara mere baad

fatiha paDh ke wo rone jo laga mere baad

shor-e-mahshar mere madfan pe uTha mere baad

dil-e-ahbab na madfan pe jala misl-e-charagh

phir gai aisi zamane ki hawa mere baad

qabr ko takiya-e-aghosh bana kar baiTha

mere qatil ka kahin dil na laga mere baad

karwan mein pas-o-pesh ek hai manzil sab ki

ho gai rehlat-e-har-shah-o-gada mere baad

TukDe hoga mere gham mein sar-e-saghar saqi

kaT Dalegi surahi bhi gala mere baad

na raha bulbul o parwana ko ishq-e-gul-o-shama

nam ko bhi koi aashiq na raha mere baad

us sa mashuq jahan mein koi mujh sa aashiq

'arsh' aage na hua tha na hua mere baad

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download KHun Bahane Ka Bahana Hai Bhala Mere Baad in PDF.