Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun

main dariya-e-qanaat-ashna hun

main mauj-e-nishan-e-boriya hun

main aashiq-e-chashm-e-surma-sa hun

gar KHak bhi hun to tutiya hun

tifli hi se wahshat-ashna hun

main us daman-e-dasht mein pala hun

dekhe jo mujhe jahan ko dekhe

main aaina-e-jahan-numa hun

chal sakte nahin jo bagh tak bhi

taus-sifat adu-e-pa hun

diwana jo hun to hun main KHamosh

zanjir jo hun to be-sada hun

ta-gor bhi sifat se na pahunchun

bil-farz agar hazar pa hun

sohbat ho barar kis tarah yar

tu shah hai aur main gada hun

har sher mein zulf ki hai tarif

is bahr mein mauj-ashna hun

sunta nahin ek but mera haal

fariyaadi tujh se ai KHuda hun

kahti hai zaban-e-haal se maut

main dard-e-firaq ki dawa hun

kahti hai ye ruh tan se har-dam

tu KHak jo ho to main dawa hun

ye tausan-e-umr garm-raftar

kahta hai main ab charagh-pa hun

ai 'arsh' ziyarat ab karunga

main rah-raw-e-dasht-e-karbala hun

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Main Dariya-e-qanaat-ashna Hun in PDF.