Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz

mausam-e-gul mein nahin izzat-o-shan-e-waiz

kaun is fasl mein sunta hai bayan-e-waiz

duKHtar-e-raz ki mazammat ka irada to kare

khinch lunga abhi guddi se zaban-e-waiz

aaj rindan-e-qadah-nosh ko achchhi sujhi

mai-kashi ke liye taka hai makan-e-waiz

mausam-e-gul mein jo sunta hun to main kahta hun

hai sada-e-sag-e-diwana bayan-e-waiz

ghul-e-sahra-e-shariat use batla denge

hum se puchhe to koi nam-o-nishan-e-waiz

daur rindon ka hai chalti hai shab-o-roz sharab

ahd-e-qazi hai na baqi na zaban-e-waiz

qatl kar Daliye har-dam ye KHayal aata hai

josh khata hai lahu sun ke bayan-e-waiz

kabk ki tarah ye loTe abhi angaron par

bhTiyan mai ki jo hon zahr-e-makan-e-waiz

shukr hai mausam-e-gul ka asar itna to hua

mai-kada ab nazar aata hai makan-e-waiz

badle dumbe ke karen rind usi ko qurban

id-e-qurban mein jo sun paen bayan-e-waiz

'arsh' is fasl-e-junun mein mere saude ki tarah

aur baDh jae ilahi KHafaqan-e-waiz

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Mausam-e-gul Mein Nahin Izzat-o-shan-e-waiz in PDF.