Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki

shohrat hai meri suKHan-wari ki

hindi mein hai tarz farsi ki

kyun zikr-e-visal se KHafa ho

ye baat to hai hansi-KHushi ki

allah re nazakat-e-lab-e-yar

but-KHane paDe jo mai-kashi ki

shikwa na karun main ta-lab-e-gor

dushman bhi kahe ki dosti ki

ho dida-e-mehr shabnam-afshan

haalat jo dikhaun be-kasi ki

jab maut kisi tarah na aae

ghabra kar hum ne aashiqi ki

KHamosh ho shama rote rote

taqrir karun jo KHamushi ki

ai maut azab se chhuDaya

is qaid se tu ne muKHlisi ki

bulbul ko kiya asir-e-gul-dam

sayyaad ne KHub munsifi ki

dekha jo wo rashk-e-mah-e-kanan

rangat hui zar-dastari ki

pahunche na ba-rang-e-shana ta zulf

kya baKHt-e-siyah ne kotahi ki

dozaKH ki tarah jalen na zahid

jannat mein bhi hum ne mai-kashi ki

nale kiye chupke chupke roe

kya kya gham yar ki KHushi ki

ghulon ne lahad pe hun wo wahshi

aankhon se aa ke raushni ki

ai 'arsh' KHuda-o-but ahad hain

mushrik ko samai hai dui ki

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Shohrat Hai Meri SuKHan-wari Ki in PDF.