Tan Se Jaan Ka Qadam Nikalta Hai

tan se jaan ka qadam nikalta hai

ab koi dam mein dam nikalta hai

sair kar inqilab-e-alam ki

Thekra le ke jam nikalta hai

ai pari shab jo hur ko dekha

tera andaz kam nikalta hai

KHalq marti hai ku-e-qatil mein

taur-e-mulk-e-adam nikalta hai

chhoD but-KHane ko tere hathon

barhaman ai sanam nikalta hai

kucha-e-zulf se tere ai but

bach ke shaiKH-e-haram nikalta hai

saf ai hur tere kuche mein

rang-e-bagh-e-iram nikalta hai

jaan-e-jaan tujh pe jaan jati hai

dam nikalta hai dam nikalta hai

tegh-e-qatil hai 'arsh' zahr-alud

mere zaKHmon se sam nikalta hai

(345) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tan Se Jaan Ka Qadam Nikalta Hai In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Tan Se Jaan Ka Qadam Nikalta Hai is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Tan Se Jaan Ka Qadam Nikalta Hai for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Tan Se Jaan Ka Qadam Nikalta Hai in PDF.