Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat

tha najm-e-baKHt-tira muqabil tamam raat

aankhon tale phira mere qatil tamam raat

haarut san zaqan mein raha dil tamam raat

guzri miyana-e-chah-e-babil tamam raat

kis gul ne gul kiya tha meri sham-e-gor ko

tha qabr par hujum-e-anadil tamam raat

dhabba lage na rang-e-safed-o-siyah mein

hai go tamam din ke muqabil tamam raat

raushan thi subh tak mere madfan pe sham-e-tur

roya khaDe khaDe mera qatil tamam raat

ai rashk-e-mehr-o-mah tere munh par nisar hai

suraj tamam din mah-e-kaamil tamam raat

jati thi yaad gesu o ruKH mein falak pe aah

mahtab tha asir-e-salasil tamam raat

karte hain gul jo chaak gareban tamam din

sunte hain nala-ha-e-anadil tamam raat

kahta tha 'arsh' sach mein samajhta tha jhuT yar

karta raha hai haq ko wo baatil tamam raat

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Tha Najm-e-baKHt-tira Muqabil Tamam Raat in PDF.