Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata

wufur-e-zof se dil yar par nahin aata

gham-e-firaq mein jina nazar nahin aata

nigah-e-dida-e-dil se nazar nahin aata

KHayal-e-yar bhi do do pahar nahin aata

visal-e-dost bhi baad-e-visal hai shayad

ki jo udhar ko gaya phir idhar nahin aata

ghubar-e-chashm bhi hai justuju mein sargardan

hawa mein KHak bhi wo rahbar nahin aata

chaDhae gor-e-ghariban pe kaun chadar-e-gul

charagh le ke koi qabr par nahin aata

ye roz sham se hai subh tak KHud-arai

ki shab ko aaina bhi apne ghar nahin aata

na shama-ru pe bhi dun jaan misl-e-parwana

ki nam-e-ishq ko badnam kar nahin aata

main shab ko la ke use 'arsh' KHak hun ham-KHwab

wo shoKH KHana-KHarab apne ghar nahin aata

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Wufur-e-zof Se Dil Yar Par Nahin Aata in PDF.