Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana

ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana

samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana

ek umr ke dukh pae sote hain faraghat se

ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana

mangun to sahi bosa par kya hai ilaj is ka

yan honT ka hil jaana wan baat ka pa jaana

go umr basar us ki tahqiq mein ki to bhi

mahiyyat-e-asli ko apni na zara jaana

kya yar ki bad-KHui kya ghair ki bad-KHwahi

sarmaya-e-sad-afat hai dil hi ka aa jaana

kuchh arz-e-tamanna mein shikwa na sitam ka tha

main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana

ek shab na use lae kuchh rang na dikhlae

ek shor-e-qayamat hi nalon ne uTha jaana

chilman ka ulaT jaana zahir ka bahana hai

un ko to bahar-surat ek jalwa dikha jaana

hai haq ba-taraf us ke chahe sau sitam kar le

us ne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana

anjam hua apna aaghaz-e-mohabbat mein

is shaghl ko jaan-farsa aisa to na tha jaana

'majruh' hue mail kis aafat-e-dauran par

ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana in PDF.