Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Lana Hargiz

harf tum apni nazakat pe na lana hargiz

hath bedad-o-sitam se na uThana hargiz

tum bhi chori ko yaqin hai na kahoge achchha

ab hamein dekh ke aankhen na churana hargiz

ishq hai ek magar aafat-e-nau hai har-dam

ye wo mazmun hai ki hoga na purana hargiz

yahi andaz to hain dil ke uDa lene ke

un ki tum nichi nigahon pe na jaana hargiz

sabab-e-qatl-e-mohabbat hai agar ai zalim

to mera jurm kisi ko na batana hargiz

dil-e-KHun-gashta ka ho raaz na ifsha ai chashm

ashk-e-gul-rang ka Tapka na lagana hargiz

hun tunak-zarf na jhelunga sharab-e-pur-zor

parda yakbar na chehre se uThana hargiz

hum se bimar bhi jaan-bar kahin hote hain masih

tum yahan aa ke na taklif uThana hargiz

jins-e-nayab ke hote hain hazaron gahak

tum pata apna kisi ko na batana hargiz

main to kya us se to musa bhi na sar-bar aae

imtihanan hamein jalwa na dikhana hargiz

jo chala tir-e-sitam dil se wo guzra ai charKH

tera KHali na gaya koi nishana hargiz

zikr barbaadi-e-dehli ka suna kar hamdam

neshtar zaKHm-e-kuhan par na lagana hargiz

aab-e-rafta nahin phir bahr mein phir kar aata

dehli aabaad ho ye dhyan na lana hargiz

wo to baqi hi nahin jin se ki dehli thi murad

dhoka ab nam pe dehli ke na khana hargiz

geti-afroz agar hazrat-e-nayyar rahte

itna tarik to hota na zamana hargiz

ab to ye shahr hai ek qalib-e-be-jaan hamdam

kuchh yahan rahne ki KHushiyan na manana hargiz

dar-e-mai-KHana hua band sada ye hai buland

yan harifan-e-qadah-KHwar na aana hargiz

allah allah wo nawwab-e-ulai ke kalam

jin se rangin nahin bulbul ka tarana hargiz

tu to hai 'anwar'-o-'maikash' ki judai ka nishan

dil-e-pur-dard se ai dagh na jaana hargiz

saut-e-bulbul taraf-angez sahi par hamdam

dard farsuda dilon ko na sunana hargiz

main hun ek majma-e-ahbab ka bichhDa gulchin

mujh ko gul-dasta-e-rangin na dikhana hargiz

jama hai majma-e-ahbab faza mein teri

ai tasawwur ye muraqqa na miTana hargiz

dil mein hain hasrat-o-andoh ke ambar lage

itna yakja na kahin hoga KHazana hargiz

saqi-e-bazm teri tarz-e-taghaful ke nisar

durd-e-mai ka bhi idhar jam na lana hargiz

qahr laenge ye talea jo zara bhi chete

ai falak KHwab se un ko na jagana hargiz

mahfil-e-aish se gar haz ho uThana ai dost

hum se aazurda-dilon ko na bulana hargiz

dar-e-fani mein na kar fikr-e-qayam ai nadan

guzar-e-sail hai yan ghar na banana hargiz

jin ke aiwan the ham-palla-e-qasr-e-qaisar

un ki milta nahin qabron ka Thikana hargiz

wo gae din jo chaman-zar mein dil lagta tha

sach hai yaksan nahin rahta hai zamana hargiz

ham-safiran-e-chaman sab hue garm-e-parwaz

ab KHush aata nahin gulzar mein jaana hargiz

zaghan-o-zagh ki gulshan mein sada hai har su

murgh-e-KHush-naghma na aawaz sunana hargiz

qasr-e-haali ke hawali mein zara tum 'majruh'

apni DeDh inT ki masjid na banana hargiz

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Lana Hargiz In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Lana Hargiz is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Lana Hargiz for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Lana Hargiz in PDF.