Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain KHud Dekhte Jao

is ke jo jo ki fawaed hain KHud dekhte jao

sach kaha hai ye kisi ne ki piyo aur pilao

zabt sarkar mein hone ke liye chhoD na jao

KHub hi khao zar-o-mal ko aur KHub uDao

tum mein aur ghair mein jo shab ko hui hai sohbat

KHud kahe deta hai wo aap ki aankhon ka jhukao

baiThne ke nahin qabil ye sara-e-viran

yan se toshe ke uThane ke ewaz naw uThao

main hun maKHmur mujhe tab kahan han saqi

saf ho durd ho jaldi se jo mil jae to lao

nahin bimar ko taklif zyaada dete

apni aankhon ko mere samne itna na jhukao

dil mein aa baiThiye aur sair-e-do-alam kije

hai bahut dur ka us manzil-e-viran se dikhao

munh se gar baat nikal jae to aafat aa jae

jo kahin chupke sune jao zaban ko na hilao

main kahan aur kahan raat ka aana par han

tere ghar se to bahut ghair ke ghar ka hai lagao

ukhDe jate hain qadam dekh wahan ki rangat

apna is dar pe hua hai na kabhi hoga jamaw

dil ki aabaadi ki ab fikr hai bilkul nahaq

ab to yan rose hi hota hai sipah-e-gham ka paDaw

baad ek umr ke gar arz-e-tamanna kije

wo bigaD kar yahi kahte hain ki baaten na banao

garche ye jhuT fasana hai wale hai dilchasp

kahte hain apni kahani mujhe tum rose sunao

hun agar us ke ewaz nim-nigah ka KHwahan

hans ke kahte hain ki kuchh qimat-e-dil aur ghatao

awwal-e-ishq hai dil kab hai samajhne wala

abhi zoron pe hai is bahr par aafat ka chaDhao

haal bhi kahte agar hosh Thikane hote

yan to hairat hai ki tum aur mujhe puchhne aao

dam nikalne ka alam kis se saha jata hai

harf tum jaane ka ai jaan zaban hi pe na lao

un ko to pas-e-mohabbat nahin aslan lekin

nibh sake tum se agar hazrat-e-dil aur nibhao

zaKHm-e-hijran ki nahin aur to duniya mein dawa

mundamil wasl ke marham se to hota hai ye ghaw

kab use dida-e-tar dawa-e-ham-chashmi hai

aaTh aaTh aansu na tum abr-e-bahaari ko rulao

un ke aane ke tasawwur mein yahi kahta hun

ai shab-e-wada na ho subh wo karte hain banaw

wan khapat hi nahin kya jins-e-wafa le jaen

un ki sarkar mein ek jaur-o-sitam ka hai banaw

ab ho 'majruh' mohabbat se bahut ghabraate

hum to pahle hi ye kahte the ki dil ko na lagao

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain KHud Dekhte Jao In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain KHud Dekhte Jao is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain KHud Dekhte Jao for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Is Ke Jo Jo Ki Fawaed Hain KHud Dekhte Jao in PDF.