Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata

kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata

iman se kaho yaro phir kis se raha jata

murde ko jila lete girte ko uTha lete

ek dam ko jo yan aate to aap ka kya jata

ye kahiye ki dhyan us ko aata hi nahin warna

mahshar se to sau fitne wo dam mein uTha jata

mahfil mein mujhe dekha to hans ke lage kahne

aane se har ek ke hai sohbat ka maza jata

izaen ye pai hain maqdur agar hota

main rasm-e-tashshuq ko duniya se uTha jata

kyun pas mere aa kar yun baiThe ho munh phere

kya lab tere misri hain main jin ko chaba jata

kya jalwa-numa wo mah koThe pe hua aa kar

kuchh aaj sawere se suraj hai chhupa jata

ye kahishen kyun hotin ghabra ke agar ye dil

pahlu se nikal jata aaram sa aa jata

achchha hua mahfil mein 'majruh' na kuchh bola

wo haal agar kahta to kis se suna jata

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Kal Nashshe Mein Tha Wo But Masjid Mein Gar Aa Jata in PDF.