KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main

KHanuman-soz ma-siwa hun main

apne sae se bhi juda hun main

ghaur har chand kar raha hun main

par ye khulta nahin ki kya hun main

nahin is rah mein dusre ki khapat

aap hi apna rahnuma hun main

wo agar aa milen to kya hai ajab

gham se kuchh aur ho gaya hun main

dil hai shauq-e-gunah se labrez

dekhne hi ka parsa hun main

kyun na ho dar ka wo mustaujib

jo ki banda kahe KHuda hun main

soz-e-dil kar chuka hai jism ko KHak

ab tera muntazir saba hun main

har lab-e-zaKHm-e-tan se main dam-e-qatl

kahta qatil ko marhaba hun main

un sa maghrur aur pursish-e-haal

KHwab hai ye jo dekhta hun main

mujh sa hoga na saKHt-jaan koi

ki shab-e-hijr mein jiya hun main

meri pursish jo ki kisi ne to wo

bole han surat-ashna hun main

shaareh-e-haal-e-dil samajh mujh ko

dard hi dard ho gaya hun main

aankh tak Dalta nahin gahak

kuchh ajab jins-e-na-rawa hun main

roz-o-shab hai KHayal-e-kakul-o-zulf

kin balaon mein phans raha hun main

misl-e-nashtar hain KHar-e-sahrai

aur wahshat barhana-pa hun main

kal jo main ne kaha ki o be-mehr

dard-e-furqat se mar raha hun main

hans ke bole ye sab banawaT hai

aap ko KHub jaanta hun main

dikhne kya zaKHm-e-dil lage 'majruh'

hae hae jo kar raha hun main

(444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download KHanuman-soz Ma-siwa Hun Main in PDF.