Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se

na kyun tir-e-nazar guzre jigar se

kahin ye war rukte hain sipar se

kisi se ishq apna kya chhupaen

mohabbat Tapki paDti hai nazar se

hui hai un ke mushtaqon se rah band

wo mere ghar bhala aaen kidhar se

bhala dil ka kahan milna ki un ki

nazar bhi to nahin milti nazar se

mujhe diwar hairat ne banaya

gaya hai jhank kar ye kaun dar se

kabhi TuTen kabhi sayyaad kaTe

gharaz uDna nahin hai baal-o-par se

kahan ki pairwi jab qasd ye ho

ki aage baDh ke chaliye rahbar se

na kholenge to ye TuTega aaKHir

ki main Takra raha hun sar ko dar se

laDai ka na main toDunga phir tar

zara si chheD ho jae udhar se

agar jati hai jaan milta hai jaanan

hamein to nafa afzun hai zarar se

raha dil mein na hargiz tir us ka

hamein khaTka yahi tha peshtar se

siwae shar na kuchh dekha adu se

KHuda mahfuz rakkhe us bashar se

hua go paemal-e-ghair 'majruh'

na sarka yar ke par rahguzar se

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Na Kyun Tir-e-nazar Guzre Jigar Se in PDF.