Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka

na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

wo ab pahla sa hangama nahin hai be-qarari ka

talab kaisi bulana kya wahan KHud ja pahunchte hain

agar aalam yahi chande raha be-aKHtyari ka

wahan wo naz-o-ishwe se qadam gin gin ke rakhte hain

yahan is muntazir ka waqt pahuncha dam-shumari ka

kabhi chashm-e-KHumar-alud ki masti nahin dekhi

baja hai hazrat-e-naseh ko dawa hoshiyari ka

bhala kya aisi roti shakl pas aa kar koi baiThe

uThe aaKHir wo jhunjhla kar bura ho ashk-bari ka

ajab kya hai ki qasid bhul jae us ka le jaana

likhun jis name mein shikwa teri ghaflat-shiari ka

misal-e-naKHl dekha hai usi ko phulte-phalte

kiya jis shaKHs ne hasil tariqa KHaksari ka

har ek shai ka hai andaza magar payan nahin hargiz

teri ghaflat-shiari ka meri ummid-wari ka

zi-bas aankhon mein rangat chha rahi hai lala-o-gul ki

KHizan mein lutf aata hai hamein fasl-e-bahaari ka

kabhi sar panw par rakhna kabhi qurban kah uThna

hamein thoDa sa Dhab aata to hai matlab-barari ka

chhupa kal gosha-e-mai-KHana mein 'majruh' ne dekha

yunhi shohra suna tha shaiKH ki parhez-gari ka

(408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Na Wo Nalon Ki Shorish Hai Na Ghul Hai Aah-o-zari Ka in PDF.