Nichi Nazron Ke War Aane Lage

nichi nazron ke war aane lage

lo bas ab jaan-o-dil Thikane lage

meri nazron ne kya kaha yarab

kyun wo sharma ke muskurane lage

maslahat tark-e-jaur tha chande

phir usi hathkandon pe aane lage

jalwa-e-yar ne kiya be-KHud

hum to aate hi un ke jaane lage

sab ka kaba hai manzil-e-maqsud

hum to aage qadam baDhane lage

kya kahin aamad-e-bahaar hui

kyun gareban pe hath jaane lage

gar haqiqat-nigar ho chashm to wo

jalwa har rang mein dikhane lage

hum ko rabt-e-guzishta yaad aae

wo jo ban-Than ke ghar se jaane lage

bas yahi ghayat-e-tasawwur hai

hijr mein lutf-e-wasl aane lage

us sarapa bahaar ke jalwe

rang kuchh aur hi na khane lage

kyun ki fursat adu se tum ko mili

jo tasawwur mein mere aane lage

be-ghiza ke to rah nahin sakte

na mila kuchh to zahar khane lage

baat banti nazar nahin aati

ab wo baaten bahut banane lage

aaj 'majruh' zabt kar na saka

kya kare jab ki jaan jaane lage

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nichi Nazron Ke War Aane Lage In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Nichi Nazron Ke War Aane Lage is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Nichi Nazron Ke War Aane Lage for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Nichi Nazron Ke War Aane Lage in PDF.