Dil Salamat Agar Apna Hai To Dildar Bahut

dil salamat agar apna hai to dildar bahut

hai ye wo jins ki jis ke hain KHaridar bahut

ek main hi tere kuche mein nahin hun betab

sar paTakte hain KHabar le pas-e-diwar bahut

dekhiye kis ke lage hath tera gauhar-e-wasl

is tamanna mein to phirte hain talabgar bahut

kahin nargis ko magar tu ne dikhain aankhen

nahin bachte nazar aate hain ye bimar bahut

kya karun kis se kahun haal kidhar ko jaun

tang aaya hun tere hath se dildar bahut

apne aashiq se kiya puchho to kaise ye suluk

aur bhi shahr mein hain tujh se trahdar bahut

tere aate to koi phul na hoga sarsabz

kya hua bagh mein go phule the gulzar bahut

ek din tujh ko dikhaunga main in KHuban ko

dawa-e-yusufi karte to hain izhaar bahut

jurm-e-bosa pe jo 'bedar' ko mara mara

na karo jaane do is baat pe takrar bahut

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Salamat Agar Apna Hai To Dildar Bahut In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Dil Salamat Agar Apna Hai To Dildar Bahut is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Dil Salamat Agar Apna Hai To Dildar Bahut for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Dil Salamat Agar Apna Hai To Dildar Bahut in PDF.