Dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya

dil se puchha tu kahan hai to kaha tujh ko kya

kis ki zulfon mein nihan hai to kaha tujh ko kya

chashm-e-giryan se shab-e-wasl mein puchha main ne

ab tu kyun ashk-fishan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki nin bolte ho gali bin

jaan ye kaun zaban hai to kaha tujh ko kya

kahne laga dil-e-gum-gashta tera hai mujh pas

jab kaha main ne kahan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki ai jaan teri surat par

shefta pir-o-jawan hai to kaha tujh ko kya

jab kaha main ne ki ai sarw-e-riyaz-e-KHubi

kis ka tu aafat-e-jaan hai to kaha tujh ko kya

dil se 'bedar' ne puchha ki tere sine par

kis ke nawak ka nishan hai to kaha tujh ko kya

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya in PDF.