Gar Isi Tarah Saj Banaiyega

gar isi tarah saj banaiyega

mahshar aabaad kar dikhaiyega

umr wadon hi mein ganwaiyega

aaiyega bhi ya na aaiyega

mehrban qadar jaaniye meri

mujh sa muKHlis kahin na paiyega

yahi qamat hai gar yahi raftar

hashr barpa hi kar dikhaiyega

yahi rona agar hai ai ankhiyon

KHan-e-marduman Dubaiyega

mah-ruyan kahan talak hum ko

aatish-e-hijr mein jalaiyega

zabt-e-girya na howega jun shama

soz-e-dil gar tumhein sunaiyega

husn jata hai KHat ki aamad hai

han hamein kyun na ab manaiyega

mughtanim jaano hum se muKHlis ko

DhunDiyega to phir na paiyega

ye na hoga ki yan se uTh jawen

aisi sau baaten gar sunaiyega

ek do kya hazar se bhi hum

nahin Darte agar bulaiyega

aaj jo ho so ho yahi hai azm

tum ko har tarah le ke jaiyega

jis ne 'bedar' dil liya mera

ek din tujh ko bhi dikhaiyega

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Isi Tarah Saj Banaiyega In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Gar Isi Tarah Saj Banaiyega is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Gar Isi Tarah Saj Banaiyega for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Gar Isi Tarah Saj Banaiyega in PDF.