Gar Kahin Usko Jalwa-gar Dekha

gar kahin us ko jalwa-gar dekha

na gaya hum se aankh bhar dekha

nala har chand hum ne gar dekha

aah ab tak na kuchh asar dekha

aaj kya ji mein aa gaya tere

mutabassim ho jo idhar dekha

aaine ko to munh dikhate ho

kya hua hum ne bhi agar dekha

dil-ruba aur bhi hain par zalim

koi tujh sa na muft par dekha

aur bhi sang-dil hua wo shoKH

tera ai aah bas asar dekha

minnat o aajizi o zari o aah

tere aage hazar kar dekha

to bhi tu ne na ai mah-e-be-mehr

nazar-e-rahm se idhar dekha

sach hai 'bedar' wo hai aafat-e-jaan

hum ne bhi qissa-muKHtasar dekha

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Kahin Usko Jalwa-gar Dekha In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Gar Kahin Usko Jalwa-gar Dekha is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Gar Kahin Usko Jalwa-gar Dekha for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Gar Kahin Usko Jalwa-gar Dekha in PDF.