Kho Diya Nur-e-basirat Tu Ne Ma-o-man Ke Bich

kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich

jalwa-gar tha warna wo KHurshid tere man ke bich

para-e-bekar hain wahdat mein jab tak hai dui

rah-e-yaktai hai rishta ke tain sozan ke bich

saf kar dil taki ho aaina-e-ruKHsar-e-yar

mana-e-raushan-dili hai zang is aahan ke bich

zahir o pinhan hai har zarra mein wo KHurshid-ru

aashkar o muKHtafi hai jaan jaise tan ke bich

dur ho gar shamma se tere ghaflat ka zukaam

tu usi ki bu ko pawe har gul-o-sausan ke bich

kucha-gardi ta-kuja jun kah-e-baad-e-hirs se

gaD kar pa baiTh misl-e-koh tu maskan ke bich

kyun abas bhaTka phire hai jun zuleKHa shahr shahr

jalwa-e-yusuf hai ghafil tere pairahan ke bich

kab dimagh apna ki kije ja ke gul-gasht-e-chaman

aur hi gulzar apne dil ke hai gulshan ke bich

mat mujhe taklif-e-sair-e-bagh de 'bedar' tu

gul se rangin-tar hai yan laKHt-e-jigar daman ke bich

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kho Diya Nur-e-basirat Tu Ne Ma-o-man Ke Bich In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Kho Diya Nur-e-basirat Tu Ne Ma-o-man Ke Bich is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Kho Diya Nur-e-basirat Tu Ne Ma-o-man Ke Bich for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Kho Diya Nur-e-basirat Tu Ne Ma-o-man Ke Bich in PDF.